Ilm ul Adaad Say Sawal – Fulaan kaam kab hoga?
Fulaan kaam kab hoga ?
Aksar o beshtar mujhe is qisam ki Email mosool hoti hain jin mein yeh sawal hota hai ke fulaan khuwahish kab poori hogi ya fulaan murad kab poori hogi. Aaj isi baat ko paish e nazar rakhte hue yeh tareeqa likh raha hoon . Dunya mein be shumaar tareeq raaij hain jaisay ilm ul jafer, ilm ul ramal, ilm ul najoom waghera jin se ulmaye rohaniyat nay yeh jannay kay tareeqay wuza kiye hain ke fulan murad kab poori hogi, hogi bhi ya nahi ?. Inhe uloom mein ilm ul adaad bhi shaamil hai ilm ul adaad se bhi yeh maloom kiya ja sakta he ke fulaan khuwahish kab poori hogi?
Is se pehlay keh aap nichay diya gaya method parhein aur apni rozmarrah ki zindagi main apply karein , aap per wazeh hona chahiye keh wahdahu la shareek aur Aalimul Ghaib Sirf Zaat e Aleem o Khabeer hai , yeh sirf insani hisab kitab hain jo sadiyon kay tajurbat per mabni hain .
Chaliye aaein ab woh tareeqa bayaan karoon jisay jannay kay liye aap yeh tehreer parh rahay hain .
Agar aap bhi yeh janna chahtay hain keh aap ki fulaan khwahish kab tak poori hogi tu lijiye mufassil tareeqa paish e khidmat hai .
1 . Sab se pehlay apnay naam bimaa naam e walida ke adaad haasil karein.
Agar mard hai to bin aur aurat hai to Bint ke adaad bhi shaamil majmua karen .
Aap ager abjad e qamri ka ilm rakhtay hain to behter , basurat e deegar online abjad calculator se madad lein.
2. Is ke baad umoor e matlooba yaani jis cheez ki khuwahish hai ke adaad bhi jama karlein. Jaisay aap shadi karna chahtay hain to shadi .
3. Jis roz sawal kiya ja raha ho is ke adaad aur jis Saa-at mein sawal kiya gaya hai is ke adaad bhi jama karein. Majmooa ka mufrad Adad haasil karein .
Woh Hazraat jo nahi jantay keh sa’at ka istakhraj kaisay hoga woh apnay mobile phone ( android / IOS ) per apps search kar saktay hain .
Woh Hazraat jo nahi jantay keh sa’at ka istakhraj kaisay hoga woh apnay mobile phone ( android / IOS ) per apps search kar saktay hain .
Agar mufrad Adad aik ( 1 ) aaya hai tu murad poori nahi hogi
Agar mufrad Adad do ( 2 ) aaya hai to tawaquf ke baad poori ho.
Agar teen ( 3 ) aaya hai to jald hi poori honay wali hai .
Agar mufrad Adad 3 se barh jaye to 3 par taqseem kar ke hasilah Adad par mandarja baala qanoon laago karein .

Misaal
Ali bin Zaid . .. .. .. .. adaad. ….. .. .. .. .. .. .. 183
Umoor e matlooba : shadi. .. adaad. … .. . 315
Roz e sawal : jumma. .. .. .. .. adaad.. … .. . 118
Saa-at sawal : Zohrah ……… adaad. ..,, .. . 217
Kul adaad………………………………………….. 833
Umoor e matlooba : shadi. .. adaad. … .. . 315
Roz e sawal : jumma. .. .. .. .. adaad.. … .. . 118
Saa-at sawal : Zohrah ……… adaad. ..,, .. . 217
Kul adaad………………………………………….. 833
Inhen mufrad kya 8 + 3 + 3 = 14 1 + 4 = 5
Mufrad Adad 5 jo ke 3 se ziyada hai. 3 par taqseem kiya to baqi bachay 2
Lehaza jawab diya ke kuch der Intezar karna hoga shadi hojaye gi Insha Allah
واللہ اعلم بالصواب۔
Post a Comment